Haathon Main Pighal Janay Ko Haathon Main Pighal Janay Ko Jee Chahta Hay Aatish-E-Shoaq Main Jal Janay Ko Jee Chahta Hay… Tujh Say Ik Raaz Ki Sargoshi Bhi Karna Chahoon Phir Wohi Raaz Nigal Janay Ko Jee Chahta Hay… Dil Yeh Chahay Kay Tere Dil Main Rahoon Dil Ban Kay Phir Usi Dil Say Nikal Janay Ko Jee Chahta Hay… Wehshat Abad Makanon Main Nahi Jee Lagta Sheher Say Door Nikal Janay Ko Jee Chahta Hay… Hum Say Yeh Rasm Ki Zanjeer Bhi Kab Toot Saki Dil Ki Zidd Par Bhi Machal Janay Ko Jee Chahta Hay
Phool sa badan Kal raat tera phooll sa badan meri baho main tha, teri zulfe bikhari thi meri shano par. main qaid tha , teri baho ki zanjiro me dua kar raha tha is qaid se kabhi rihai na ho, tere labo par. mere lab mohhabat ki kahani likh rahe the .jannat se kam nahi thi teri aghosh mausam ashikana tha zarra zarra mohhabbat ke nagme suna raha tha
Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhy Raas Hy Tu Tera Libaas Hoon Main Aur Mera Libaas hy Tu Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hy Faqat Aam Hy Sara Jahan Mere Liye Ek Khaas Hy Tu Ajeeb Shai Hy Mohabbat Main Kahin Chala Jao’n Tere Qareeb Hoon Main Meri Pyaas Hy Tu … !!!
Kabhi jo ker sako aisa to koshish ker k dekhna.. mujhe..meri tarah chahna.. faqat meri talab kerna.. phir mujhse door ho jana.. main kahon…bhool jao mujhe.. tum roz duaon may mangna.. main tumse her nata tor lon.. tumse her wo haq chheen lon k tumhare paas agar wo ho to nuqsan kisi ka na ho per.. shayad tum jee lo.. per tum chup reh k her ghum pee lo.. aur aisa bhi kerna k.. magar nahi.. tum aisa ker nahi sakti.. meri jagah khud ko rakh nahi sakti.. tum mujhe..meri tarah chah hi nahi sakti…
meri nazar main ubhar raha hai wo ek lamha k jab kisi ki haseen zulfon ki narm chaaon main aankh moonday gaye dino ka khayal kar k tum ek lamhay ko kho si jao gay or shayad na chah kar bhi udas ho gay to koi sheereen nawa ye poochay gi meri jan tum ko kia hua hay ? ye kis tasawur main kho gay ho? tumaharay honto pe subah ki awaleen kiran ki tarha ubhray gi muskurahat tum us k rukhsaar thapthapa k kaho gay us se "main ek larki ko sochti thi ajeeb larki thi kitni pagal!!" tumaharay sathi ki khoobsoorat jabeen pe koi shikan banay gi to tum baray piyar se haso gay kaho gay us se "aray wo larki wo mere jazbaat ki himaqat wo is qadar bay waqoof larki mere liye kab ki mar chuki hay" phir apnay sathi ki narm zulfon main ungliyan phairtay huay tum kaho gay us se "chalo naee anay wali kal main ham apnay maazi ko dafn kar dain " ..
Tera Libaas Hoon Main Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhy Raas Hy Tu Tera Libaas Hoon Main Aur Mera Libaas hy Tu. . . .
Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hy Faqat Aam Hy Sara Jahan Mere Liye Ek Khaas Hy Tu Ajeeb Shai Hy Mohabbat Main Kahin Chala Jao’n Tere Qareeb Hoon Main Meri Pyaas Hy Tu … !!!
Bhar lo mujhe baahon me Dil me hai samandar magar kyun hai honthon pe pyaas? tum ho kareeb magar kyun hai tumhe paane ki aas? bhar lo mujhe baahon me kar do mujhe madhosh ke umra beet jaaye magar ho na koi afsos….